Tuesday, 18 March 2014

Kabhi Nazrain Milanay Main - Poetry SMS Message

Kabhi nazrain milanay main
zamanay beet jatay hain

Kabhi nazrain churanay main
zamanay beet jatay hain

Kisi nay aankh bhi kholi to
soonay ke nagrii main

Kisi ko gher bananay main
zamanay beet jatay hain

Kabhi kaali siyah raatain
humain ek pal ke lagti hain

Kabhi ek pal bitanay main
zamanay beet jatay hain…!!

No comments:

Post a Comment

Kitnay Anm0l H0te Hain Ye M0habbat K Rishtay Bhi,♥

Kitnay anm0l h0te hain ye M0habbat k rishtay bhi,♥ Ta'luq t0ot Bhi jaye t0u Chahat phir bhi rehti hai. .