Tuesday, 29 July 2008

Hai Tamnaa K Saal-e-Nau Tujhko

Hai Tamnaa K Saal-e-Nau Tujhko
Har Musarat se Humkinaar Karey

Khil Uthein Phool Tere Aangan Main
Tu Agar Khuwahish-e-Bahaar Karey

Muskurahat Labon pe Ho Raqsaan
Sara Aalm Tujh he se Pyar Karey

Tujhse Har Ranj Door Hojaye
Har Khushi Tujh pe Jaan Nisaar Karey

Tere Aanagn Main Qaaflay Utrein
Jhilmilatey Huye Sitaroun Kay

Ho K Bay-Ikhteyaar Uthh Jayein
Teri Janib Qadam bharoun Kay.

No comments:

Post a Comment

Kitnay Anm0l H0te Hain Ye M0habbat K Rishtay Bhi,♥

Kitnay anm0l h0te hain ye M0habbat k rishtay bhi,♥ Ta'luq t0ot Bhi jaye t0u Chahat phir bhi rehti hai. .