yehi phool khaar se door hai yehi sham-ma hai k dhuaan nahi..
Main nisaar tere kalaam par mili yun tou kisko zabaan nahi…
Wo sukhan hai jis mn sukhan na ho wo bayaa-n hai jiska bayaa-n nahi
WO hi la-makaan k makeen hue sar-e-arsh takht-e-nasheen hue
WO NABI hai jis k hn ye makaan wo KHUDA hai jiska makaan nahi
Sar-e-arsh par hai teri guzar dil-e-farsh pr hai teri nazar
malkoot_-o-malak mn koi shaiy nahi wo jo TUJH pe ayaan nahi
Karun tere naam pe jaan fida na bs ek jaan 2 jahan fida
2 jahan se bhi nahi ji bhara karun kia karorron jahaan nahi
No comments:
Post a Comment