yehi thi hamari rajdhani or kia detey
sitaroon se kisi ki maang bharna aik fasana hai
tumharey naam likh di zindagani or kia detey
wo mujh se mangta tha umar ka aik dilnasheen hisa
na detey us ko apni jawani or kia detey
bichartey waqt us ko ik na ik tohfa tuo dena tha
humare pas tha ankhoon mein pani or kia detey
No comments:
Post a Comment