Friday, 10 February 2017

Palkon Pe Aansuon Ko Sajaya Na Jaa Saka,

Palkon Pe Aansuon Ko Sajaya Na Jaa Saka,
Usko Bhi Dil Ka Haal Bataya Na Jaa Saka,

Zakhmon Se Choor Choor Tha Ye Dil Mera,
Ek Zakham Bhi Usko Dikhaya Na Jaa Saka,

Jab Teri Yaad Aayi To Koshish Ke Bawajood,
Aankhon Mein Aansuon Ko Chhupaya Na Jaa Saka,

Kuch Log Zindagi Mein Aise Bhi Aaye Hain,
Jinko Kisi Bhi Lamhe Bhulaya Na Jaa Saka,

Bas Is Khayal Se Kahin Usko Dukh Na Ho,
Humse To Haal-E-Gam Bhi Sunaya Na Jaa Saka,

Wo Muskuraya Tha Mere Ru-Ba-Ru Magar
Chehre Ka Rang Usse Chhupaya Na Jaa Saka,

Tanhaiyon Ki Aag Mein Hum Jal Gaye,
Magar Faasla Jo Darmiya Tha Mitaya Na Jaa Saka..

No comments:

Post a Comment

Kitnay Anm0l H0te Hain Ye M0habbat K Rishtay Bhi,♥

Kitnay anm0l h0te hain ye M0habbat k rishtay bhi,♥ Ta'luq t0ot Bhi jaye t0u Chahat phir bhi rehti hai. .