Friday, 6 January 2012

Ek Baat Kahon Gar Suntay Ho

Ek Baat Kahon Gar Suntay Ho
Ik baat kahoon gar suntay ho
tum mujh ko achay lagtay ho,
kuch chunchal say, kuch chup chup say
kuch khoiy khoiy rehtay ho,
hain chahnay walay aur bohut
par tum main hai aik baat bohut
tum apnay apnay lagtay ho,
yeh baat baat pay kho jana
kuch kehtay kehtay ruk jana
kia baat hai hum say keh dalo
yeh kis uljhan main rehtay ho,
ik baat kahoon gar suntay ho
tum mujh ko achay lagtay ho!!

No comments:

Post a Comment

Kitnay Anm0l H0te Hain Ye M0habbat K Rishtay Bhi,♥

Kitnay anm0l h0te hain ye M0habbat k rishtay bhi,♥ Ta'luq t0ot Bhi jaye t0u Chahat phir bhi rehti hai. .